Saturday, March 24, 2012

Just Did It!!!

Aaj tarikh 24 March saan 2012... mein US may hun... meray pachapan ka sapana ki mein s/w engineer banu orr Amrica (what we call it as) jaun...
ye sapna suru hota hai 1998 say.. 10 vi kaksha kay baad .. jaab apna future apna career decide karne ka time tha..pata nahi kahan say ye sapna meray maan may baas gaya tha ki Amrica
jana hai or fir ek safar suru hogaya... well safar ki details may nahi jayen gaay aaj.. fir kabhi

aaj yahan barish ho rahi hai.. bhot teej.. koe storm ayya hai.. esi hi barish meray gaon mein bhi toti thi..ye barish dekhke aaj ghar ki yaad agayi.. barish may wo paper boat banana.. or us boat ko teranaykay liye barish mein bhegna ... good golden olden days ..


kash ye wakt wahin tham jata.. lakin nahi wakt ko to apni raftar say hi chalna hota hai...jesay jesay bade hue paper boat ka saath chut sa gaya..


barish mein aksar ghar ki batii (electricity) chali jati thi.. fir candle jalake padaee karna..wo din bhi ajeeb the..ek junoon tha maan mein kuch karne ka kuch banane ka..

junoon say juda hua hai ek kisa meray engineering kay final year exams ka.. exams say kuch hi din pehle mummy ka accident ho gaya tha jis wajeh say unhe bed rest karna tha or ghar may mein ek hi ladki thi or upar say final year exams... sonay pay suhaga ye hua ki practical exams say pehle ek tufan sa ayya or saray electricity kay pole gara gaya..fir kya tha.. computer ji to chalnay say rahe.. aab practicals ki tayari karen to kesay..lakin meray papa bhi elctrical engineer hain.. kuch jugad karkay computer chal pada or exam ki tayari ho gayi...

yehi nahi final year was all clear with distinction ... I "JUST DID IT"...

-Sonia Khanna

Labels: , ,